phir bhaTakta phir raha hun hijr-mausam ke liye
phir bhaTaktā phir rahā huuñ hijr-mausam ke liye
ye ziyāda kho diyā maiñ ne kisī kam ke liye
is jahān-e-ḳhāk se jo bhī ta'alluq ho mirā
zinda rahnā hai mujhe us rabt-e-mub.ham ke liye
ek mamnū'a shajar ke saath kaaTe zindagī
jurm jaisī ye sazā hai āl-e-ādam ke liye
is kā matlab hai yahāñ ab koī aa.egā zarūr
dam nikalnā chāhtā hai ḳhair-maqdam ke liye
chhan rahī hai dhuup sī dīvār-e-jāñ ke us taraf
maiñ bhī ab mauzūñ nahīñ shāyad tire ġham ke liye
is ḳhizāñ meñ bhī vahī kāġhaz ke purze joḌ kar
ik shajar maiñ ne banāyā apne mausam ke liye
ḳhvāb mere yuuñ haiñ 'tābish' jis tarah paanī pe ret
ye shagun achchhā nahīñ hai dīda-e-nam ke liye
phir bhaTakta phir raha hun hijr-mausam ke liye
ye ziyaada kho diya main ne kisi kam ke liye
is jahan-e-KHak se jo bhi ta'alluq ho mera
zinda rahna hai mujhe us rabt-e-mubham ke liye
ek mamnu'a shajar ke sath kaTe zindagi
jurm jaisi ye saza hai aal-e-adam ke liye
is ka matlab hai yahan ab koi aaega zarur
dam nikalna chahta hai KHair-maqdam ke liye
chhan rahi hai dhup si diwar-e-jaan ke us taraf
main bhi ab mauzun nahin shayad tere gham ke liye
is KHizan mein bhi wahi kaghaz ke purze joD kar
ek shajar main ne banaya apne mausam ke liye
KHwab mere yun hain 'tabish' jis tarah pani pe ret
ye shagun achchha nahin hai dida-e-nam ke liye
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 77)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.