Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir goya hui sham parindon ki zabani

Nida Fazli

phir goya hui sham parindon ki zabani

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    phir goyā huī shaam parindoñ zabānī

    aao suneñ miTTī se miTTī kahānī

    vāqif nahīñ ab koī samundar zabāñ se

    sadiyoñ masāfat ko sunātā to hai paanī

    utre koī mahtāb ki kashtī ho tah-e-āb

    dariyā meñ badaltī nahīñ dariyā ravānī

    kahtā hai koī kuchh to samajhtā hai koī kuchh

    lafzoñ se judā ho ga.e lafzoñ ke ma.ānī

    is baar to donoñ the na.ī rāhoñ ke raahī

    kuchh duur hamrāh chaleñ yādeñ purānī

    phir goya hui sham parindon ki zabani

    aao sunen miTTi se hi miTTi ki kahani

    waqif nahin ab koi samundar ki zaban se

    sadiyon ki masafat ko sunata to hai pani

    utre koi mahtab ki kashti ho tah-e-ab

    dariya mein badalti nahin dariya ki rawani

    kahta hai koi kuchh to samajhta hai koi kuchh

    lafzon se juda ho gae lafzon ke maani

    is bar to donon the nai rahon ke rahi

    kuchh dur hi hamrah chalen yaaden purani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now