phir koi kirdar aaya yun do kirdaron ke bich
phir koī kirdār aayā yuuñ do kirdāroñ ke biich
jaise koī ḳhaar ug aatā hai gulzāroñ ke biich
hotī haiñ sargoshiyāñ ye ran meñ talvāroñ ke biich
aaj to ham phañs ga.e haiñ ḳhuun kī dhāroñ ke biich
us ne mujh ko bhī navāzā 'ishq kī taufīq se
maiñ ne bhī kuchh din guzāre husn ke māroñ ke biich
tum bhī chāho to uThāo girya-o-zārī kā lutf
tum bhī chāho to chale aao 'azādāroñ ke biich
phir koi kirdar aaya yun do kirdaron ke bich
jaise koi KHar ug aata hai gulzaron ke bich
hoti hain sargoshiyan ye ran mein talwaron ke bich
aaj to hum phans gae hain KHun ki dhaaron ke bich
us ne mujh ko bhi nawaza 'ishq ki taufiq se
main ne bhi kuchh din guzare husn ke maron ke bich
tum bhi chaho to uThao girya-o-zari ka lutf
tum bhi chaho to chale aao 'azadaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.