Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir se soe hue jazbaat ne shiddat pakDi

Dr. Yasin Aatir

phir se soe hue jazbaat ne shiddat pakDi

Dr. Yasin Aatir

MORE BYDr. Yasin Aatir

    phir se so.e hue jazbāt ne shiddat pakḌī

    tujh ko dekhā to mire ishq ne vahshat pakḌī

    tujh se kahtā thā na sanjīda rahā kar itnā

    muskurāyā hai to ruḳhsār ne zīnat pakḌī

    kab se ḳhāmosh paḌā thā ye mire siine meñ

    jab tirā naam liyā qalb ne harakat pakḌī

    jaane allāh ne kis tarah banāyā tujh ko

    raushnī chāñd se phuul se rangat pakḌī

    rakhtā hai har ik merī zarūrat ḳhayāl

    jab badan sard huā tujh se harārat pakḌī

    ḳhatm hotā nahīñ tujh ko samajhne amal

    ḳhafā jab bhī huā maiñ ne nasīhat pakḌī

    tujh se pahle thī kahāñ dād-e-suḳhan bārish

    tujh pe likkhā hai to ash.ār ne izzat pakḌī

    phir se soe hue jazbaat ne shiddat pakDi

    tujh ko dekha to mere ishq ne wahshat pakDi

    tujh se kahta tha na sanjida raha kar itna

    muskuraya hai to ruKHsar ne zinat pakDi

    kab se KHamosh paDa tha ye mere sine mein

    jab tera nam liya qalb ne harakat pakDi

    jaane allah ne kis tarah banaya tujh ko

    raushni chand se li phul se rangat pakDi

    tu hi rakhta hai har ek meri zarurat ka KHayal

    jab badan sard hua tujh se hararat pakDi

    KHatm hota hi nahin tujh ko samajhne ka amal

    tu KHafa jab bhi hua main ne nasihat pakDi

    tujh se pahle thi kahan dad-e-suKHan ki barish

    tujh pe likkha hai to ashaar ne izzat pakDi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now