phir tasawwur koi aankhon mein utara jae
phir tasavvur koī āñkhoñ meñ utārā jaa.e
kuchh purānī paḌī ġhazloñ ko nikhārā jaa.e
ye sunā hai ki vo guzreñge idhar se shāyad
is bahāne se chalo ghar ko sañvārā jaa.e
tez tūfān meñ bikhre hue sāhil se pare
aaj kashtī ko samundar meñ utārā jaa.e
dost dushman sabhī mujh ko haiñ Dubone vaale
Dūbte vaqt yahāñ kis ko pukārā jaa.e
ek muddat huī hai ḳhud se mulāqāt hue
apnī tanhā.ī meñ kuchh vaqt guzāra jaa.e
koī tarjīh na koī ho tavajjoh jis meñ
aisī mahfil meñ bhalā kaun dubāra jaa.e
phir tasawwur koi aankhon mein utara jae
kuchh purani paDi ghazlon ko nikhaara jae
ye suna hai ki wo guzrenge idhar se shayad
is bahane se chalo ghar ko sanwara jae
tez tufan mein bikhre hue sahil se pare
aaj kashti ko samundar mein utara jae
dost dushman sabhi mujh ko hain Dubone wale
Dubte waqt yahan kis ko pukara jae
ek muddat hui hai KHud se mulaqat hue
apni tanhai mein kuchh waqt guzara jae
koi tarjih na koi ho tawajjoh jis mein
aisi mahfil mein bhala kaun dubara jae
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 59)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.