phir yun hua ki aankh mein tinka jhulas gaya
phir yuuñ huā ki aañkh meñ tinkā jhulas gayā
bādal kī tarh ḳhvāb kā sho'la baras gayā
phir yuuñ huā ki chhipkalī baiThī hathelī par
aur ek saañp apnī hī kunDalī meñ phañs gayā
phir yuuñ huā ki abr kā saayā nichoḌ kar
mausam mire ḳhayāl kī shāḳhoñ ko Das gayā
phir yuuñ huā ki chāñdnī ne bad-du'ā.eñ diiñ
aur ek peḌ apne hī saa.e meñ dhañs gayā
phir yuuñ huā ki mere garebāñ ko thaam kar
dāman ke saath bāġhche kā ḳhāk-o-ḳhas gayā
phir yuuñ huā ki naġhma-e-hangāma-ḳhez kī
zanjīr toḌne ko maiñ le kar jaras gayā
phir yuuñ huā ki terī tamanna ke josh meñ
ai shāḳh-e-gard haath se mere qafas gayā
phir yuuñ huā ki bhuul ga.e log jast-o-ḳhez
ham kyā ga.e ki daur-e-havā-o-havas gayā
phir yuuñ huā ki aa.ine maḳhlūq khā ga.e
aur ā.inoñ ke 'aks meñ ik shahr bas gayā
phir yun hua ki aankh mein tinka jhulas gaya
baadal ki tarh KHwab ka sho'la baras gaya
phir yun hua ki chhipkali baiThi hatheli par
aur ek sanp apni hi kunDali mein phans gaya
phir yun hua ki abr ka saya nichoD kar
mausam mere KHayal ki shaKHon ko Das gaya
phir yun hua ki chandni ne bad-du'aen din
aur ek peD apne hi sae mein dhans gaya
phir yun hua ki mere gareban ko tham kar
daman ke sath baghche ka KHak-o-KHas gaya
phir yun hua ki naghma-e-hangama-KHez ki
zanjir toDne ko main le kar jaras gaya
phir yun hua ki teri tamanna ke josh mein
ai shaKH-e-gard hath se mere qafas gaya
phir yun hua ki bhul gae log jast-o-KHez
hum kya gae ki daur-e-hawa-o-hawas gaya
phir yun hua ki aaine maKHluq kha gae
aur aainon ke 'aks mein ek shahr bas gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.