phirta hun dar-ba-dar main liye dil dukha hua
phirtā huuñ dar-ba-dar maiñ liye dil dukhā huā
ik ik qadam pe zaḳhm-e-jigar phir harā huā
is daur kā ye sab se baḌā almiya huā
har aadmī hai shahr meñ ḳhud se Darā huā
hañs hañs ke pūchhtā hai vo zālim khaḌā huā
barpā huā fasād to anjām kyā huā
hālāt hoñ ḳharāb to phir kis se kyā gila
mushkil meñ apnā saaya bhī ham se judā huā
e’lān-e-jang karte ho har zulm ke ḳhilāf
logoñ ko ham se bārhā yuuñ bhī gila huā
us par kisī bhī baat pe ham kab ḳhafā hue
chhoTī sī baat par jo zamāna ḳhafā huā
kartā hai ehtirām vo har shaḳhs kā magar
mar'ūb to kisī se na hargiz 'ziyā' huā
phirta hun dar-ba-dar main liye dil dukha hua
ek ek qadam pe zaKHm-e-jigar phir hara hua
is daur ka ye sab se baDa almiya hua
har aadmi hai shahr mein KHud se Dara hua
hans hans ke puchhta hai wo zalim khaDa hua
barpa hua fasad to anjam kya hua
haalat hon KHarab to phir kis se kya gila
mushkil mein apna saya bhi hum se juda hua
e’lan-e-jang karte ho har zulm ke KHilaf
logon ko hum se barha yun bhi gila hua
us par kisi bhi baat pe hum kab KHafa hue
chhoTi si baat par jo zamana KHafa hua
karta hai ehtiram wo har shaKHs ka magar
mar'ub to kisi se na hargiz 'ziya' hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.