phul honTon ke na gesu ki saba mangte hain
phuul hoñToñ ke na gesū kī sabā māñgte haiñ
ham vo pāgal haiñ jo kuchh is se sivā māñgte haiñ
kab se barsā nahīñ paanī huī sahrā āñkheñ
ġham kī purvā.ī to yādoñ kī ghaTā māñgte haiñ
ham ko yuuñ chain se jiinā nahīñ achchhā lagtā
zindagī ke liye zaḳhmoñ kī qabā māñgte haiñ
dard jitne haiñ purāne vo ravā hone lage
vahshat-e-dil ke liye dard nayā māñgte haiñ
daulat-e-‘ishq se mahrūm haiñ 'sayyad' jo log
un ġharīboñ ke liye ham bhī du'ā māñgte haiñ
phul honTon ke na gesu ki saba mangte hain
hum wo pagal hain jo kuchh is se siwa mangte hain
kab se barsa nahin pani hui sahra aankhen
gham ki purwai to yaadon ki ghaTa mangte hain
hum ko yun chain se jina nahin achchha lagta
zindagi ke liye zaKHmon ki qaba mangte hain
dard jitne hain purane wo rawa hone lage
wahshat-e-dil ke liye dard naya mangte hain
daulat-e-‘ishq se mahrum hain 'sayyad' jo log
un gharibon ke liye hum bhi du'a mangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.