Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul kya chiz hai kali kya hai

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

phul kya chiz hai kali kya hai

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

    phuul kyā chiiz hai kalī kyā hai

    bin tumhāre ye zindagī kyā hai

    ujḌe dil se zarā koī pūchhe

    suune sahrā meñ dil-lagī kyā hai

    vo jo nauha paḌhā kare bulbul

    kyā batā.egā naġhmagī kyā hai

    merī guftār sidq-e-paiham hai

    phir ye sūraj raushnī kyā hai

    gar taraddud ho aazmā dekho

    haath kañgan ko aarsī kyā hai

    merī āñkhoñ meñ paḌ ga.e halqe

    koī pūchhe ki dil-lagī kyā hai

    parda chehra se thoḌā sarkā do

    ham bhī dekheñ ki mai-kashī kyā hai

    ek purza sahī magar likh do

    paḌhe likkhe ko fārsī kyā hai

    jām-e-dīdār ab pilā bhī do

    had se baḌh kar ye be-ruḳhī kyā hai

    yak-ba-yak aa ga.ī 'falak se sadā

    ye shikāyat phuljhaḌī kyā hai

    phul kya chiz hai kali kya hai

    bin tumhaare ye zindagi kya hai

    ujDe dil se zara koi puchhe

    sune sahra mein dil-lagi kya hai

    wo jo nauha paDha kare bulbul

    kya bataega naghmagi kya hai

    meri guftar sidq-e-paiham hai

    phir ye suraj ki raushni kya hai

    gar taraddud ho aazma dekho

    hath kangan ko aarsi kya hai

    meri aankhon mein paD gae halqe

    koi puchhe ki dil-lagi kya hai

    parda chehra se thoDa sarka do

    hum bhi dekhen ki mai-kashi kya hai

    ek purza sahi magar likh do

    paDhe likkhe ko farsi kya hai

    jam-e-didar ab pila bhi do

    had se baDh kar ye be-ruKHi kya hai

    yak-ba-yak aa gai 'falak se sada

    ye shikayat ki phuljhaDi kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now