Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phul se zaKHmon ka ambar sanbhaale hue hain

Alok Mishra

phul se zaKHmon ka ambar sanbhaale hue hain

Alok Mishra

MORE BYAlok Mishra

    phuul se zaḳhmoñ ambār sañbhāle hue haiñ

    ġham pūñjī mire ash’ār sañbhāle hue haiñ

    ham se pūchho na shab-o-roz 'ālam socho

    kaise dhaḌkan ye raftār sañbhāle hue haiñ

    ghar bhī bāzār mānind rakhe haiñ apne

    vo jo bāzār me'yār sañbhāle hue haiñ

    ek novel haiñ kabhī paḌh hameñ fursat meñ

    tan-e-tanhā ka.ī kirdār sañbhāle hue haiñ

    ham mohabbat ke tale kaañp rahe haiñ aise

    jaise darkī huī dīvār sañbhāle hue haiñ

    zaḳhm le kar ye sabhī apne maiñ jaatā bhī kahāñ

    yuuñ bhī ijlās gunahgār sañbhāle hue haiñ

    phul se zaKHmon ka ambar sanbhaale hue hain

    gham ki punji mere ash’ar sanbhaale hue hain

    hum se puchho na shab-o-roz ka 'alam socho

    kaise dhaDkan ki ye raftar sanbhaale hue hain

    ghar bhi bazar ki manind rakhe hain apne

    wo jo bazar ka me'yar sanbhaale hue hain

    ek nowel hain kabhi paDh tu hamein fursat mein

    tan-e-tanha kai kirdar sanbhaale hue hain

    hum mohabbat ke tale kanp rahe hain aise

    jaise darki hui diwar sanbhaale hue hain

    zaKHm le kar ye sabhi apne main jata bhi kahan

    yun bhi ijlas gunahgar sanbhaale hue hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now