Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulne-phalne lage hain sahab-e-zar aur bhi

Naz Khialvi

phulne-phalne lage hain sahab-e-zar aur bhi

Naz Khialvi

MORE BYNaz Khialvi

    phūlne-phalne lage haiñ sāhab-e-zar aur bhī

    tañg ho jā.egī dhartī muflisoñ par aur bhī

    ye zamīñ zarḳhez hogī ḳhuun kar aur bhī

    khetiyāñ uglā kareñgī la.al-o-gauhar aur bhī

    har zamāne meñ subūt-e-ishq māñgā jā.egā

    laal maaoñ ke chaḌheñge sūliyoñ par aur bhī

    phūlte-phalte haiñ jazbe dard ke māhaul meñ

    zaḳhm khā.eñ to nikharte haiñ suḳhan-var aur bhī

    āftāb ubhrā hai jis din se na.ī tahzīb

    ho gayā tārīk insāñ muqaddar aur bhī

    jab chalī tahrīk ta.amīr-e-vatan dosto

    ho ga.e barbād kuchh baste hue ghar aur bhī

    jis qadar bāhar raunaq meñ magan hotā gayā

    baḌh ga.ī be-raunaqī insāñ ke andar aur bhī

    maiñ banātā rahā huuñ aur bhī kuchh aa.ine

    vaqt barsātā chalā jaatā hai patthar aur bhī

    bastiyoñ par hādsoñ chāñd-mārī ke liye

    baḌh rahe haiñ auj jānib sitamgar aur bhī

    munfarid ustād 'dānish' bhī haiñ ġhālib tarah

    yuuñ to duniyā meñ haiñ 'nāz' achchhe suḳhan-var aur bhī

    phulne-phalne lage hain sahab-e-zar aur bhi

    tang ho jaegi dharti muflison par aur bhi

    ye zamin zarKHez hogi KHun pi kar aur bhi

    khetiyan ugla karengi lal-o-gauhar aur bhi

    har zamane mein subut-e-ishq manga jaega

    lal maon ke chaDhenge suliyon par aur bhi

    phulte-phalte hain jazbe dard ke mahaul mein

    zaKHm khaen to nikharte hain suKHan-war aur bhi

    aaftab ubhra hai jis din se nai tahzib ka

    ho gaya tarik insan ka muqaddar aur bhi

    jab chali tahrik tamir-e-watan ki dosto

    ho gae barbaad kuchh baste hue ghar aur bhi

    jis qadar bahar ki raunaq mein magan hota gaya

    baDh gai be-raunaqi insan ke andar aur bhi

    main banata ja raha hun aur bhi kuchh aaine

    waqt barsata chala jata hai patthar aur bhi

    bastiyon par hadson ki chand-mari ke liye

    baDh rahe hain auj ki jaanib sitamgar aur bhi

    munfarid ustad 'danish' bhi hain ghaalib ki tarah

    yun to duniya mein hain 'naz' achchhe suKHan-war aur bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now