phunk kar dasht-e-arab ki kokh mein ruh-e-iram
phūñk kar dasht-e-'arab kī kokh meñ rūh-e-iram
ik ghanerī chhāoñ phailā dī sar-e-farq-e-umam
vo qadīm insān taḳhlīq-e-jahāñ se bhī qadīm
jis ke ehsāsāt kī tajsīm haiñ lauh-o-qalam
vo baqā-parvar ki bā-mā'nā hai mafhūm-e-vujūd
vo fanā-dushman ki ab ik lafz-e-muhmal hai 'adam
vo azal-āsār tā'līm-e-malā.ik jis kī bhiik
vo abad-kirdār jannat jis ke darvāze pe ḳham
jis ke bal par naaz kartā hai amānat kā mizāj
jis ke dam se saañs letā hai diyānat kā bharam
us se bāteñ kar ke pā le ham-kalāmī kā sharaf
tham ḳhudā ke vāste ai nā-rasā idrāk tham
ai qazā-āgāh mursal ai qadar-paimā nabī
ai ‘umūd-e-ḳhema-e-jāñ ai vujūd-e-kaif-o-kam
tū dayār-e-āgahī meñ rab ke hone kā nishāñ
tū fasīl-e-fahm par tauhīd-e-ḳhāliq kā 'alam
'aql kī ḳhāk-e-tayammum hai tire qadmoñ kī dhuul
fikr kā āb-e-vuzū hai terī peshānī kā nam
phunk kar dasht-e-'arab ki kokh mein ruh-e-iram
ek ghaneri chhaon phaila di sar-e-farq-e-umam
wo qadim insan taKHliq-e-jahan se bhi qadim
jis ke ehsasat ki tajsim hain lauh-o-qalam
wo baqa-parwar ki ba-ma'na hai mafhum-e-wujud
wo fana-dushman ki ab ek lafz-e-muhmal hai 'adam
wo azal-asar ta'lim-e-malaik jis ki bhik
wo abad-kirdar jannat jis ke darwaze pe KHam
jis ke bal par naz karta hai amanat ka mizaj
jis ke dam se sans leta hai diyanat ka bharam
us se baaten kar ke pa le ham-kalami ka sharaf
tham KHuda ke waste ai na-rasa idrak tham
ai qaza-agah mursal ai qadar-paima nabi
ai ‘umud-e-KHema-e-jaan ai wujud-e-kaif-o-kam
tu dayar-e-agahi mein rab ke hone ka nishan
tu fasil-e-fahm par tauhid-e-KHaliq ka 'alam
'aql ki KHak-e-tayammum hai tere qadmon ki dhul
fikr ka aab-e-wuzu hai teri peshani ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.