Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pichhe paDa ghanim ka lashkar hai kya karen

Mohammad Asadullah

pichhe paDa ghanim ka lashkar hai kya karen

Mohammad Asadullah

MORE BYMohammad Asadullah

    pīchhe paḌā ġhanīm lashkar hai kyā kareñ

    be-mo.ajiza 'asā hai samundar hai kyā kareñ

    haañ dast-e-ehtiyāt meñ ḳhanjar hai kyā kareñ

    dushman hamārī zaat ke andar hai kyā kareñ

    lāzim huā hai tīsha-e-dil sambhālnā

    har dast-e-yār-e-ġhār meñ patthar hai kyā kareñ

    us ruḳh se ab kisī tarah haTtī nahīñ nazar

    vo sab se is jahān meñ haT kar hai kyā kareñ

    qad-āvarī hai aur kaḌī dhuup hai qahr

    ye ātishīñ-chinār muqaddar hai kyā kareñ

    raste nahīñ haiñ raat haiñ dhajjiyāñ tamām

    har shikast-e-zāt manzar hai kyā kareñ

    pichhe paDa ghanim ka lashkar hai kya karen

    be-moajiza 'asa hai samundar hai kya karen

    han dast-e-ehtiyat mein KHanjar hai kya karen

    dushman hamari zat ke andar hai kya karen

    lazim hua hai tisha-e-dil ka sambhaalna

    har dast-e-yar-e-ghaar mein patthar hai kya karen

    us ruKH se ab kisi tarah haTti nahin nazar

    wo sab se is jahan mein haT kar hai kya karen

    qad-awari hai aur kaDi dhup ka hai qahr

    ye aatishin-chinar muqaddar hai kya karen

    raste nahin hain raat ki hain dhajjiyan tamam

    har su shikast-e-zat ka manzar hai kya karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now