Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pine do zahido pine ki ghaDi hai

Sada Ambalvi

pine do zahido pine ki ghaDi hai

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    piine do zāhido piine ghaḌī hai

    'umr 'ibādat ke liye Dher paḌī hai

    sāqiyā kyoñ ḳhum uThāne paḌī hai

    na kamī mai hai na ham ko chaḌhī hai

    tauba ke baa'd hai haal apnā ye saaqī

    jaam chhalkā to chhalak aañkh paḌī hai

    kam na kar saaz lai abhī mutrib

    sub.h hone meñ abhī der baḌī hai

    nāchte haiñ sab ishāre pe unhīñ ke

    paas un ke koī jaadū chhaḌī hai

    dekhte kyā 'sadā' vo mushkileñ terī

    laġhzishoñ pe tirī aañkh un gaḌī hai

    pine do zahido pine ki ghaDi hai

    'umr 'ibaadat ke liye Dher paDi hai

    saqiya kyon KHum uThane ki paDi hai

    na kami mai ki hai na hum ko chaDhi hai

    tauba ke ba'd hai haal apna ye saqi

    jam chhalka to chhalak aankh paDi hai

    kam na kar saz ki lai tu abhi mutrib

    subh hone mein abhi der baDi hai

    nachte hain sab ishaare pe unhin ke

    pas un ke koi jadu ki chhaDi hai

    dekhte kya 'sada' wo mushkilen teri

    laghzishon pe teri aankh un ki gaDi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now