pila mat aankh se itni ye mai-KHwari ziyaada hai
pilā mat aañkh se itnī ye mai-ḳhvārī ziyāda hai
nasha ye jaan le legā ye sarshārī ziyāda hai
ruḳh-e-raushan ko parde meñ chhupā rakkho in āñkhoñ kī
basārat ho na ḳhīra ye ziyā-bārī ziyāda hai
ta'alluq aur shai hai rabt-e-dil hai aur hī rishta
nibhātī jā rahī huuñ par adākārī ziyāda hai
guñdhī hai ḳhaak aisī vahshatoñ se chaak par tere
mirī tā'mīr kam hai merī mismārī ziyāda hai
talab ātish kī zarf-e-‘ishq par hai munhasir jaise
alaao hai mujhe kam tum ko chingārī ziyāda hai
nahīñ tāb-o-tavāñ shal ho ga.e paaoñ rihā.ī de
tire ehsān kī zanjīr kuchh bhārī ziyāda hai
riyāzat se bhī hai naḳhl-e-suḳhan go bārvar lekin
buzurgoñ kī du'āoñ se samar-bārī ziyāda hai
vo lazzat ranj meñ paa.ī udāsī raas yuuñ aa.ī
ḳhushī hai do ghaḌī dil kī 'azā-dārī ziyāda hai
ḳhumār-e-vasl-e-jānāñ bhī milā do chaar pal garche
sharāb-e-hijr kā nashsha magar taarī ziyāda hai
yahāñ ḳhuddāriyāñ kaisī dayār-e-'ishq hai 'nasrīn'
hai jis meñ sargirānī kam subuksārī ziyāda hai
pila mat aankh se itni ye mai-KHwari ziyaada hai
nasha ye jaan le lega ye sarshaari ziyaada hai
ruKH-e-raushan ko parde mein chhupa rakkho in aankhon ki
basarat ho na KHira ye ziya-bari ziyaada hai
ta'alluq aur shai hai rabt-e-dil hai aur hi rishta
nibhati ja rahi hun par adakari ziyaada hai
gundhi hai KHak aisi wahshaton se chaak par tere
meri ta'mir kam hai meri mismari ziyaada hai
talab aatish ki zarf-e-‘ishq par hai munhasir jaise
alao hai mujhe kam tum ko chingari ziyaada hai
nahin tab-o-tawan shal ho gae paon rihai de
tere ehsan ki zanjir kuchh bhaari ziyaada hai
riyazat se bhi hai naKHl-e-suKHan go barwar lekin
buzurgon ki du'aon se samar-bari ziyaada hai
wo lazzat ranj mein pai udasi ras yun aai
KHushi hai do ghaDi dil ki 'aza-dari ziyaada hai
KHumar-e-wasl-e-jaanan bhi mila do chaar pal garche
sharab-e-hijr ka nashsha magar tari ziyaada hai
yahan KHuddariyan kaisi dayar-e-'ishq hai 'nasrin'
hai jis mein sargirani kam subuksari ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.