purane ghar jo kabhi hum girane lagte hain
purāne ghar jo kabhī ham girāne lagte haiñ
ga.e dinoñ ke vo qisse sunāne lagte haiñ
ham aise peḌ haiñ jin par samar nahīñ aatā
hamārī Tahniyoñ par āshiyāne lagte haiñ
tumhāre baa'd in āñkhoñ ko band rakhnā hai
khulā ho dar to ka.ī aane jaane lagte haiñ
maiñ panchhiyoñ pe kabhī aañkh jo nahīñ rakhtā
so mujh ko dekh ke sab chahchahāne lagte haiñ
maiñ kis jahān se 'ashfāq' ho ke aayā huuñ
na.e zamāne bhī mujh ko purāne lagte haiñ
purane ghar jo kabhi hum girane lagte hain
gae dinon ke wo qisse sunane lagte hain
hum aise peD hain jin par samar nahin aata
hamari Tahniyon par aashiyane lagte hain
tumhaare ba'd in aankhon ko band rakhna hai
khula ho dar to kai aane jaane lagte hain
main panchhiyon pe kabhi aankh jo nahin rakhta
so mujh ko dekh ke sab chahchahane lagte hain
main kis jahan se 'ashfaq' ho ke aaya hun
nae zamane bhi mujh ko purane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.