puchhte ho ki kya banata hun
pūchhte ho ki kyā banātā huuñ
dard kā aa.ina banātā huuñ
aadmī kāTtā huuñ kāġhaz ke
aur phir qāfila banātā huuñ
aap insāñ nahīñ farishte haiñ
is liye fāsla banātā huuñ
har ghaḌī kuchh kamī sī lagtī hai
har ghaḌī kuchh nayā banātā huuñ
mujh ko ḳhud hī pata nahīñ ab tak
naqsh maiñ dil pe kyā banātā huuñ
tīrgī phir bhī kam nahīñ hotī
roz sūraj nayā banātā huuñ
puchhte ho ki kya banata hun
dard ka aaina banata hun
aadmi kaTta hun kaghaz ke
aur phir qafila banata hun
aap insan nahin farishte hain
is liye fasla banata hun
har ghaDi kuchh kami si lagti hai
har ghaDi kuchh naya banata hun
mujh ko KHud hi pata nahin ab tak
naqsh main dil pe kya banata hun
tirgi phir bhi kam nahin hoti
roz suraj naya banata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.