pyar ki KHushbu hai to loban rahne dijiye
pyaar kī ḳhushbū hai to lobān rahne dījiye
baat achchhī kījiye jalpān rahne dījiye
saare dukh apne haiñ so un ko dukhī mat kījiye
hai ḳhushī mehmān to mehmān rahne dījiye
kyā zarūrī hai ki toḌeñ āḳhirī dhāga bhī ham
intiqāman hī sahī imkān rahne dījiye
zehn ke saare darīche khol kar rakhiye magar
dil ke kamre meñ bhī raushan-dān rahne dījiye
gar parakhnī hai ġhazal-goī kisī kī to miyāñ
ek misra' dījiye dīvān rahne dījiye
pyar ki KHushbu hai to loban rahne dijiye
baat achchhi kijiye jalpan rahne dijiye
sare dukh apne hain so un ko dukhi mat kijiye
hai KHushi mehman to mehman rahne dijiye
kya zaruri hai ki toDen aaKHiri dhaga bhi hum
intiqaman hi sahi imkan rahne dijiye
zehn ke sare dariche khol kar rakhiye magar
dil ke kamre mein bhi raushan-dan rahne dijiye
gar parakhni hai ghazal-goi kisi ki to miyan
ek misra' dijiye diwan rahne dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.