qatil nazar ki zad pe main aane se bach gaya

qatil nazar ki zad pe main aane se bach gaya
Javed Qamar Liyaqati
MORE BYJaved Qamar Liyaqati
qātil nazar kī zad pe maiñ aane se bach gayā
phir zaḳhm apne dil pe maiñ khāne se bach gayā
achchhā huā ki tum ne nazar mujh se pher lī
maiñ bhī ġhamoñ kā bojh uThāne se bach gayā
iz.hār us ne ḳhud hī mohabbat kā kar diyā
dil kī maiñ baat hoñToñ pe laane se bach gayā
patthar thā aa.ina maiñ samajhtā rahā jise
ik bevafā se dil ko lagāne se bach gayā
sar ko jhukā ke dar pe tire fā.ede meñ huuñ
har dar pe apne sar ko jhukāne se bach gayā
qatil nazar ki zad pe main aane se bach gaya
phir zaKHm apne dil pe main khane se bach gaya
achchha hua ki tum ne nazar mujh se pher li
main bhi ghamon ka bojh uThane se bach gaya
izhaar us ne KHud hi mohabbat ka kar diya
dil ki main baat honTon pe lane se bach gaya
patthar tha aaina main samajhta raha jise
ek bewafa se dil ko lagane se bach gaya
sar ko jhuka ke dar pe tere faede mein hun
har dar pe apne sar ko jhukane se bach gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.