Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim

    qaazī ke muñh pe maarī hai botal sharāb

    ye umr bhar meñ ek huī hai savāb

    ai yaar tere lab pe tabassum nahīñ numūd

    paidā hai māh-e-nau se kiran āftāb

    aayā mizha pe laḳht-e-dil-e-be-qarār yaad

    gardish jo ham ne siiḳh pe dekhī kabāb

    terī kudūratoñ ne mujhe ḳhaak kar diyā

    tere ġhubār ne mirī miTTī ḳharāb

    merī ḳhatā.eñ aa nahīñ saktī shumār meñ

    gintī ho kyā tire karam-e-be-hisāb

    saaqī tire karam se ye ummīd hai mujhe

    ho roz-e-hashr haath meñ botal sharāb

    mastān-e-ishq aa.e ta.allī par ai falak

    ab ḳhair maañg qadah-e-āftāb

    nashsha zamīñ se sū-e-falak le uḌā mujhe

    saaqī sharāb ne mirī miTTī ḳharāb

    do roz ke ābnā-rūyoñ bazm meñ

    kyā shakl ho ga.ī dil-e-ḳhāna-ḳharāb

    bijlī nahīñ taḌaptī hai ai dil ye āsmān

    parvāz uḌā rahā hai tire iztirāb

    abrū teġh se jo bachā maiñ to yaar ne

    barchhī lagā.ī baḌh ke nigāh-e-itāb

    allāh re asar mirī baḳht-e-siyah

    piirī meñ ehtiyāj nahīñ hai ḳhizāb

    'nāzim' mire gunāh haiñ bāhar hisāb se

    tashvīsh kuchh nahīñ mujhe roz-e-hisāb

    qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki

    ye umr bhar mein ek hui hai sawab ki

    ai yar tere lab pe tabassum nahin numud

    paida hai mah-e-nau se kiran aaftab ki

    aaya mizha pe laKHt-e-dil-e-be-qarar yaad

    gardish jo hum ne siKH pe dekhi kabab ki

    teri kuduraton ne mujhe KHak kar diya

    tere ghubar ne meri miTTi KHarab ki

    meri KHataen aa nahin sakti shumar mein

    ginti ho kya tere karam-e-be-hisab ki

    saqi tere karam se ye ummid hai mujhe

    ho roz-e-hashr hath mein botal sharab ki

    mastan-e-ishq aae talli par ai falak

    ab KHair mang tu qadah-e-aftab ki

    nashsha zamin se su-e-falak le uDa mujhe

    saqi sharab ne meri miTTi KHarab ki

    do roz ja ke aabna-ruyon ki bazm mein

    kya shakl ho gai dil-e-KHana-KHarab ki

    bijli nahin taDapti hai ai dil ye aasman

    parwaz uDa raha hai tere iztirab ki

    abru ki tegh se jo bacha main to yar ne

    barchhi lagai baDh ke nigah-e-itab ki

    allah re asar meri baKHt-e-siyah ka

    piri mein ehtiyaj nahin hai KHizab ki

    'nazim' mere gunah hain bahar hisab se

    tashwish kuchh nahin mujhe roz-e-hisab ki

    Source:

    Deewan-e-Nazim (Pg. ebook-153 page-154)

    • Author: Syed Yusuf Ali Khan Nazim
      • Edition: 1915
      • Publisher: An-Nazir Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1915
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now