qad ghaT gae wo sab ke barabar nahin rahe
qad ghaT ga.e vo sab ke barābar nahīñ rahe
jo log bastī vāloñ se mil kar nahīñ rahe
lāzim hai ehtiyāt ki fitna hai shahr meñ
hālāñki bastī vāloñ se ham Dar nahīñ rahe
panghaT nahīñ rahe na khanak chūḌiyoñ kī hai
jab se hamāre gaañv meñ chhappar nahīñ rahe
ik 'umr apne qadmoñ se lipTā rahā safar
ham jis qadar safar meñ rahe ghar nahīñ rahe
tab jā ke yuuñ rukā thā tashaddud kā silsila
hāthoñ meñ jab kisī ke bhī patthar nahīñ rahe
ham be-qabā haiñ aaj na chādar hī sar pe hai
aise to ham kabhī bilā-bistar nahīñ rahe
yaaro sanad mile hameñ jin ke kalām se
is daur meñ ab aise suḳhanvar nahīñ rahe
jis shahr kī fazāoñ meñ nafrat kā zahr ho
us shahr-e-be-amāñ meñ 'munavvar' nahīñ rahe
qad ghaT gae wo sab ke barabar nahin rahe
jo log basti walon se mil kar nahin rahe
lazim hai ehtiyat ki fitna hai shahr mein
haalanki basti walon se hum Dar nahin rahe
panghaT nahin rahe na khanak chuDiyon ki hai
jab se hamare ganw mein chhappar nahin rahe
ek 'umr apne qadmon se lipTa raha safar
hum jis qadar safar mein rahe ghar nahin rahe
tab ja ke yun ruka tha tashaddud ka silsila
hathon mein jab kisi ke bhi patthar nahin rahe
hum be-qaba hain aaj na chadar hi sar pe hai
aise to hum kabhi bila-bistar nahin rahe
yaro sanad mile hamein jin ke kalam se
is daur mein ab aise suKHanwar nahin rahe
jis shahr ki fazaon mein nafrat ka zahr ho
us shahr-e-be-aman mein 'munawwar' nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.