qadam qadam pe andhera hai kya kiya jae
qadam qadam pe añdherā hai kyā kiyā jaa.e
nazar se duur saverā hai kyā kiyā jaa.e
jahāñ pe Thahre haiñ us gaañv kā ye 'ālam hai
har ek shaḳhs luTerā hai kyā kiyā jaa.e
jinheñ madad kī zarūrat hai āj-kal yaaro
unhīñ pe zulm kā gherā hai kyā kiyā jaa.e
jahāñ pe nyaay kī ummīd le ke aa.e haiñ
vo hī Thagoñ kā sā Derā hai kyā kiyā jaa.e
jidhar bhī jaao siyāsat ne us taraf 'gulshan'
havā meñ zahr bikherā hai kyā kiyā jaa.e
qadam qadam pe andhera hai kya kiya jae
nazar se dur sawera hai kya kiya jae
jahan pe Thahre hain us ganw ka ye 'alam hai
har ek shaKHs luTera hai kya kiya jae
jinhen madad ki zarurat hai aaj-kal yaro
unhin pe zulm ka ghera hai kya kiya jae
jahan pe nyay ki ummid le ke aae hain
wo hi Thagon ka sa Dera hai kya kiya jae
jidhar bhi jao siyasat ne us taraf 'gulshan'
hawa mein zahr bikhera hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.