qadghan agar labon se uThai na jaegi
qadġhan agar laboñ se uThā.ī na jā.egī
aisī lagegī aag bujhā.ī na jā.egī
aage jabīñ sitam ke jhukā.ī na jā.egī
ham se chitā ḳhud apnī jalā.ī na jā.egī
hamdard bhī ho tum mire ġham-ḳhvār bhī magar
rūdād dil kī mujh se sunā.ī na jā.egī
ham haiñ haqīqatoñ ke parastār dosto
jhūTī hañsī laboñ pe sajā.ī na jā.egī
insāñ ke dukh bhī bāñTiye fursat nikāl ke
bekār aap kī ye kamā.ī na jā.egī
kar ke 'amal dikhāo zarā ḳhud bhī vā.izo
taqrīr se tumhārī burā.ī na jā.egī
'hātif' ‘urūs-e-zīst kī kuchh qadr kījiye
rūThī kabhī agar to manā.ī na jā.egī
qadghan agar labon se uThai na jaegi
aisi lagegi aag bujhai na jaegi
aage jabin sitam ke jhukai na jaegi
hum se chita KHud apni jalai na jaegi
hamdard bhi ho tum mere gham-KHwar bhi magar
rudad dil ki mujh se sunai na jaegi
hum hain haqiqaton ke parastar dosto
jhuTi hansi labon pe sajai na jaegi
insan ke dukh bhi banTiye fursat nikal ke
bekar aap ki ye kamai na jaegi
kar ke 'amal dikhao zara KHud bhi waizo
taqrir se tumhaari burai na jaegi
'hatif' ‘urus-e-zist ki kuchh qadr kijiye
ruThi kabhi agar to manai na jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.