Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaid mein rahte hain jab tak bhi jiye jate hain

Fazl Lakhnavi

qaid mein rahte hain jab tak bhi jiye jate hain

Fazl Lakhnavi

MORE BYFazl Lakhnavi

    qaid meñ rahte haiñ jab tak bhī jiye jaate haiñ

    halqe zanjīr ke phir toḌ diye jaate haiñ

    raunaqeñ chāñd sitāroñ liye jaate haiñ

    chāñdnī raat ko be-nūr kiye jaate haiñ

    ye tabassum na sahī husn sauġhāt sahī

    dard ko ek chamak aur diye jaate haiñ

    ḳhaak hone pe bhī kam hotā nahīñ jazba-e-ishq

    raushnī sham.a parvāne liye jaate haiñ

    surḳh āñkhoñ se Tapak kar ye gulābī aañsū

    mere dāman ko bhī rañgīn kiye jaate haiñ

    Duub jaatī hai savere se sūraj kiran

    jab sar-e-shām charāġhoñ ke diye jaate haiñ

    jin ko duniyā meñ sambhalne ijāzat na milī

    zindagī bhar ke vo armān liye jaate haiñ

    zindagī merī to gintī hai garebāñ ke shigāf

    aap kyoñ dāman-e-hastī ko siye jaate haiñ

    sāqiyā riñd to mohtāt haiñ majbūr nahīñ

    aks mai-ḳhāna āñkhoñ meñ liye jaate haiñ

    'fazl' aa.iin mohabbat badalne ke liye

    ahl-e-dil kis liye majbūr kiye jaate haiñ

    qaid mein rahte hain jab tak bhi jiye jate hain

    halqe zanjir ke phir toD diye jate hain

    raunaqen chand sitaron ki liye jate hain

    chandni raat ko be-nur kiye jate hain

    ye tabassum na sahi husn ki saughat sahi

    dard ko ek chamak aur diye jate hain

    KHak hone pe bhi kam hota nahin jazba-e-ishq

    raushni shama ki parwane liye jate hain

    surKH aankhon se Tapak kar ye gulabi aansu

    mere daman ko bhi rangin kiye jate hain

    Dub jati hai sawere hi se suraj ki kiran

    jab sar-e-sham charaghon ke diye jate hain

    jin ko duniya mein sambhalne ki ijazat na mili

    zindagi bhar ke wo arman liye jate hain

    zindagi meri to ginti hai gareban ke shigaf

    aap kyon daman-e-hasti ko siye jate hain

    saqiya rind to mohtat hain majbur nahin

    aks mai-KHana ka aankhon mein liye jate hain

    'fazl' aain mohabbat ka badalne ke liye

    ahl-e-dil kis liye majbur kiye jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now