qalam se bartar-o-baala zaban ke bas mein nahin
qalam se bartar-o-bālā zabāñ ke bas meñ nahīñ
maiñ vo sadā huuñ jo lafzoñ kī dastaras meñ nahīñ
guloñ kī tarh badalte nahīñ haiñ ye chehre
tazād zāhir-o-bātin kā ḳhār-o-ḳhas meñ nahīñ
yaqīñ na aa.e to parvāna ban ke dekh zarā
jasāratoñ meñ jo lazzat hai pesh-o-pas meñ nahīñ
tumhārī yādoñ kī nik.hat tumhāre dard ke phuul
chaman meñ kyā thā jo hāsil mujhe qafas meñ nahīñ
junūñ pe is se baḌā tanz aur kyā hogā
ki sang-o-ḳhisht kisī dast-e-bul-havas meñ nahīñ
'ajīb log haiñ vo shai talāsh karte haiñ
vujūd jis kā nahīñ aadmī ke bas meñ nahīñ
is āgahī ne ujāle bhī dil ke chhīn liye
vo raushnī sī jo thī kirmak-e-nafas meñ nahīñ
charāġh-e-bazm nahīñ ye 'azīz' us se kaho
sharār-e-dasht bujhānā havā ke bas meñ nahīñ
qalam se bartar-o-baala zaban ke bas mein nahin
main wo sada hun jo lafzon ki dastaras mein nahin
gulon ki tarh badalte nahin hain ye chehre
tazad zahir-o-baatin ka KHar-o-KHas mein nahin
yaqin na aae to parwana ban ke dekh zara
jasaraton mein jo lazzat hai pesh-o-pas mein nahin
tumhaari yaadon ki nikhat tumhaare dard ke phul
chaman mein kya tha jo hasil mujhe qafas mein nahin
junun pe is se baDa tanz aur kya hoga
ki sang-o-KHisht kisi dast-e-bul-hawas mein nahin
'ajib log hain wo shai talash karte hain
wujud jis ka nahin aadmi ke bas mein nahin
is aagahi ne ujale bhi dil ke chhin liye
wo raushni si jo thi kirmak-e-nafas mein nahin
charagh-e-bazm nahin ye 'aziz' us se kaho
sharar-e-dasht bujhana hawa ke bas mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.