qatra-e-ashk nahin raushni karne ke liye
qatra-e-ashk nahīñ raushnī karne ke liye
raat baaqī hai abhī kitnī guzarne ke liye
zindagī chāhtī hai tū maiñ tujhe milne aa.uuñ
yahāñ fursat bhī nahīñ hai mujhe marne ke liye
ai havā aur mujhe kitnā sameTegī ab
peḌ tayyār hai ye kab se bikharne ke liye
jaane kis bahte hue dariyā kī parchhā.īñ hai dahr
koī kashtī bhī nahīñ paar utarne ke liye
ik ḳhudā us ne banāyā thā ki ham pyaar kareñ
ik ḳhudā ham ne banāyā hai so Darne ke liye
merī tasvīr mukammal nahīñ karnā 'sānī'
kaam kuchh to ho mire vāste karne ke liye
qatra-e-ashk nahin raushni karne ke liye
raat baqi hai abhi kitni guzarne ke liye
zindagi chahti hai tu main tujhe milne aaun
yahan fursat bhi nahin hai mujhe marne ke liye
ai hawa aur mujhe kitna sameTegi ab
peD tayyar hai ye kab se bikharne ke liye
jaane kis bahte hue dariya ki parchhain hai dahr
koi kashti bhi nahin par utarne ke liye
ek KHuda us ne banaya tha ki hum pyar karen
ek KHuda hum ne banaya hai so Darne ke liye
meri taswir mukammal nahin karna 'sani'
kaam kuchh to ho mere waste karne ke liye
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 64)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.