Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qayam ruh mein kar dhyan se utar ke na ja

Rashid Anwar Rashid

qayam ruh mein kar dhyan se utar ke na ja

Rashid Anwar Rashid

MORE BYRashid Anwar Rashid

    qayām ruuh meñ kar dhyān se utar ke na

    sukūn baḳhsh mujhe yuuñ tabāh kar ke na

    tamām umr mujhe tishnagī rulā.egī

    mire vajūd ke pyāle meñ pyaas bhar ke na

    kuchh aisā kar ki tujhe chāhtā rahūñ yuuñ

    sameT ḳhud ko mirī zaat meñ bikhar ke na

    tire liye to munāsib abhī hai dar-badarī

    ki badle badle se tevar haiñ aaj ghar ke na

    tujhe ġhurūr mujhe ājizī mile 'rāshid'

    yuuñ e'tibār ke pindār se guzar ke na

    qayam ruh mein kar dhyan se utar ke na ja

    sukun baKHsh mujhe yun tabah kar ke na ja

    tamam umr mujhe tishnagi rulaegi

    mere wajud ke pyale mein pyas bhar ke na ja

    kuchh aisa kar ki tujhe chahta rahun yun hi

    sameT KHud ko meri zat mein bikhar ke na ja

    tere liye to munasib abhi hai dar-badari

    ki badle badle se tewar hain aaj ghar ke na ja

    tujhe ghurur mujhe aajizi mile 'rashid'

    yun e'tibar ke pindar se guzar ke na ja

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now