qayamat-shoKH aafat chulbula dil
qayāmat-shoḳh aafat chulbulā dil
mirā dil aur phir kaisā mirā dil
tire gesū se hai uljhā huā dil
bahut ab had se apnī baḌh gayā dil
tumhāre haath kā til ban gayā dil
tumheñ dhokā na de bahrūpiyā dil
ḳhudā ko jaan sauñpī dil butoñ ko
hamāre paas kyā thā jaan yā dil
mujhe dekhā to bole bazm meñ vo
na.e aa.e haiñ le kar ye nayā dil
tire gesū se ye bal kar rahā hai
kuchh ab aur zulfoñ vaalī baḌh chalā dil
hamārī jaan par ban ban ga.ī hai
na de dushman ko bhī aisā ḳhudā dil
na rang aa.e to us kī kyā ḳhatā hai
hinā ke saath kyuuñ saana gayā dil
manā.e kaun kis ko kaun samjhā.e
udhar ma.ashūq idhar bigḌā huā dil
ubhar kar daaġh laayā hai nayā rang
barābar dil ke hai ik dūsrā dil
mire haq meñ ye patthar kā banā thā
ḳhudāvandā butoñ se mil gayā dil
hasīnoñ ko samajhtā hī nahīñ kuchh
bahut bantā hai ḳhud meñ ḳhud-numā dil
mileñge hashr meñ dil lene vaale
milegā hashr meñ bichhḌā huā dil
rahegā yaad dil kā dil se milnā
milī duniyā mile ham tum milā dil
bahār aa.ī ki aa.ī vasl kī shaam
khile ġhunche khilī kaliyāñ khilā dil
vo nāvak ko nigāh-e-nāz samjhā
usī dhoke meñ to maarā paḌā dil
bahut hī lutf se un se milī aañkh
bahut hī lutf se un se milā dil
dil-e-marhūm aatā hai bahut yaad
'riyāz' aisā kahāñ ab chulbulā dil
qayamat-shoKH aafat chulbula dil
mera dil aur phir kaisa mera dil
tere gesu se hai uljha hua dil
bahut ab had se apni baDh gaya dil
tumhaare hath ka til ban gaya dil
tumhein dhoka na de bahrupiya dil
KHuda ko jaan saunpi dil buton ko
hamare pas kya tha jaan ya dil
mujhe dekha to bole bazm mein wo
nae aae hain le kar ye naya dil
tere gesu se ye bal kar raha hai
kuchh ab aur zulfon wali baDh chala dil
hamari jaan par ban ban gai hai
na de dushman ko bhi aisa KHuda dil
na rang aae to us ki kya KHata hai
hina ke sath kyun sana gaya dil
manae kaun kis ko kaun samjhae
udhar mashuq idhar bigDa hua dil
ubhar kar dagh laya hai naya rang
barabar dil ke hai ek dusra dil
mere haq mein ye patthar ka bana tha
KHudawanda buton se mil gaya dil
hasinon ko samajhta hi nahin kuchh
bahut banta hai KHud mein KHud-numa dil
milenge hashr mein dil lene wale
milega hashr mein bichhDa hua dil
rahega yaad dil ka dil se milna
mili duniya mile hum tum mila dil
bahaar aai ki aai wasl ki sham
khile ghunche khili kaliyan khila dil
wo nawak ko nigah-e-naz samjha
usi dhoke mein to mara paDa dil
bahut hi lutf se un se mili aankh
bahut hi lutf se un se mila dil
dil-e-marhum aata hai bahut yaad
'riyaz' aisa kahan ab chulbula dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.