qisse mirī āshufta-navā.ī ke bahut the
charche tirī añgusht-numā.ī ke bahut the
duniyā kī talab hī se na fursat huī varna
armān tire dar kī gadā.ī ke bahut the
kuchh dil hī na maa.il huā is raah pe varna
sāmān to jannat kī kamā.ī ke bahut the
kal shab mire kirdār pe tanqīd kī shab thī
kirdār meñ pahlū bhī burā.ī ke bahut the
āzār kī ḳhaslat bhī thī logoñ meñ numāyāñ
kuchh shauq bhī is dil ko bhalā.ī ke bahut the
ab saath nahīñ hai bhī to shikva nahīñ 'aḳhtar'
ehsān bhī mujh par mire bhaa.ī ke bahut the
qisse meri aashufta-nawai ke bahut the
charche teri angusht-numai ke bahut the
duniya ki talab hi se na fursat hui warna
arman tere dar ki gadai ke bahut the
kuchh dil hi na mail hua is rah pe warna
saman to jannat ki kamai ke bahut the
kal shab mere kirdar pe tanqid ki shab thi
kirdar mein pahlu bhi burai ke bahut the
aazar ki KHaslat bhi thi logon mein numayan
kuchh shauq bhi is dil ko bhalai ke bahut the
ab sath nahin hai bhi to shikwa nahin 'aKHtar'
ehsan bhi mujh par mere bhai ke bahut the
Source :
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 458)
-
Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.