qudrat ne us mein rakkha hai itna sa KHair bhi
qudrat ne us meñ rakkhā hai itnā sā ḳhair bhī
ulfat ke saath rakhtā hai thoḌā sā bair bhī
gulshan ke saare phuul haiñ aamad ke muntazir
karnī to chāhiye tumheñ gulshan kī sair bhī
maanā ki ruuTh kar ke gayā hai vo mujh se par
mujh ko to māñgnī hai sadā us kī ḳhair bhī
us ne palaT ke dekhā nahīñ mujh ko ek baar
hālāñki samt us ke baḌhāyā thā pair bhī
lahroñ ke saath saath to chalte haiñ beshtar
lahroñ ke bar-ḳhilāf zarā der tair bhī
hāmil haiñ us kī zaat meñ kuchh aisī hī sifāt
tā'rīf jis kī karte haiñ apne bhī ġhair bhī
tum kah rahe the rah nahīñ sakte mire baġhair
dekho guzār dī hai tumhāre baġhair bhī
apnoñ ke vāste bhī du'ā kar sake na tum
maiñ ne to maañg lī mire dushman kī ḳhair bhī
'e'jāz' dekhne ko bachā kyā jahān meñ
ham ne haram bhī dekhā hai dekhā hai dair bhī
qudrat ne us mein rakkha hai itna sa KHair bhi
ulfat ke sath rakhta hai thoDa sa bair bhi
gulshan ke sare phul hain aamad ke muntazir
karni to chahiye tumhein gulshan ki sair bhi
mana ki ruTh kar ke gaya hai wo mujh se par
mujh ko to mangni hai sada us ki KHair bhi
us ne palaT ke dekha nahin mujh ko ek bar
haalanki samt us ke baDhaya tha pair bhi
lahron ke sath sath to chalte hain beshtar
lahron ke bar-KHilaf zara der tair bhi
hamil hain us ki zat mein kuchh aisi hi sifat
ta'rif jis ki karte hain apne bhi ghair bhi
tum kah rahe the rah nahin sakte mere baghair
dekho guzar di hai tumhaare baghair bhi
apnon ke waste bhi du'a kar sake na tum
main ne to mang li mere dushman ki KHair bhi
'e'jaz' dekhne ko bacha kya jahan mein
hum ne haram bhi dekha hai dekha hai dair bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.