qurbaten jab saza ho gain
qurbateñ jab sazā ho ga.iiñ
dūriyāñ tab davā ho ga.iiñ
chhū liyā gesuoñ ko tire
āñdhiyāñ bhī sabā ho ga.iiñ
yaar bāteñ vahī haiñ mirī
aaj lekin ḳhatā ho ga.iiñ
bastiyāñ thiiñ yahāñ kal talak
jaane kaise ḳhalā ho ga.iiñ
chal rahe the kaḌī dhuup meñ
us kī zulfeñ ghaTā ho ga.iiñ
hijratoñ ke nishāñ bhī kahāñ
yaad se bhī judā ho ga.iiñ
nafrateñ thiiñ diloñ meñ basī
dostoñ par bapā ho ga.iiñ
kāġhazoñ ke baḌe Dher meñ
hastiyāñ lāpata ho ga.iiñ
qurbaten jab saza ho gain
duriyan tab dawa ho gain
chhu liya gesuon ko tere
aandhiyan bhi saba ho gain
yar baaten wahi hain meri
aaj lekin KHata ho gain
bastiyan thin yahan kal talak
jaane kaise KHala ho gain
chal rahe the kaDi dhup mein
us ki zulfen ghaTa ho gain
hijraton ke nishan bhi kahan
yaad se bhi juda ho gain
nafraten thin dilon mein basi
doston par bapa ho gain
kaghazon ke baDe Dher mein
hastiyan lapata ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.