raegan ja rahi hai har koshish
rā.egāñ jā rahī hai har koshish
ham nahīñ chhoḌte magar koshish
dil kī aa.egī baa'd meñ baarī
kar rahī hai abhī nazar koshish
ġhair-mumkin sahī visāl-e-dost
hai zarūrī bisāt-bhar koshish
kī na jaa.e agar salīqe se
Daal saktī hai kyā asar koshish
ek dar ho khulā huā to bhalā
kyoñ kare koī dar-ba-dar koshish
aadmī ko zamīn se aksar
le ga.ī āsmān par koshish
un se ḳhat kā javāb lene kī
kar rahā hogā nāma-bar koshish
suukh jaatī hai jab zabān mirī
karne lagtī hai chashm-e-tar koshish
sil ga.e nā 'shu'ūr' tere hoñTh
aur sach bolne kī kar koshish
raegan ja rahi hai har koshish
hum nahin chhoDte magar koshish
dil ki aaegi ba'd mein bari
kar rahi hai abhi nazar koshish
ghair-mumkin sahi visal-e-dost
hai zaruri bisat-bhar koshish
ki na jae agar saliqe se
Dal sakti hai kya asar koshish
ek dar ho khula hua to bhala
kyon kare koi dar-ba-dar koshish
aadmi ko zamin se aksar
le gai aasman par koshish
un se KHat ka jawab lene ki
kar raha hoga nama-bar koshish
sukh jati hai jab zaban meri
karne lagti hai chashm-e-tar koshish
sil gae na 'shu'ur' tere honTh
aur sach bolne ki kar koshish
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 136)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.