rah-guzar ke patthar pani lagne lage
rāh-guzar ke patthar paanī lagne lage
lutf-e-safar kyā jab āsānī lagne lage
arz-o-samā kī gardish soch ke Dar jā.ūñ
paañv jamā luuñ maiñ vo ravānī lagne lage
maiñ ne jidhar bhī us ke havāle se dekhā
saare manzar us kī nishānī lagne lage
ik ik harf itnā dohrāyā phūloñ ne
us ke rang-o-bū kī kahānī lagne lage
ek kiran us ke āvezoñ se phūTī
aur dariyā sāhil sab dhānī lagne lage
jhāñk kar us kī āñkhoñ meñ dekhūñ to mujhe
kabhī bahār kabhī vīrānī lagne lage
kaise chhupā.ūñ dil ke zaḳhmoñ ko us se
aisī rafāqat kyā ki girānī lagne lage
itnī baasī nazroñ se mat dekh ki 'zeb'
do din meñ har chiiz purānī lagne lage
rah-guzar ke patthar pani lagne lage
lutf-e-safar kya jab aasani lagne lage
arz-o-sama ki gardish soch ke Dar jaun
panw jama lun main wo rawani lagne lage
main ne jidhar bhi us ke hawale se dekha
sare manzar us ki nishani lagne lage
ek ek harf itna dohraya phulon ne
us ke rang-o-bu ki kahani lagne lage
ek kiran us ke aawezon se phuTi
aur dariya sahil sab dhani lagne lage
jhank kar us ki aankhon mein dekhun to mujhe
kabhi bahaar kabhi virani lagne lage
kaise chhupaun dil ke zaKHmon ko us se
aisi rafaqat kya ki girani lagne lage
itni basi nazron se mat dekh ki 'zeb'
do din mein har chiz purani lagne lage
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 66)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.