Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah mein meri agar aae to mar jaenge aap

Irtiza Nishat

rah mein meri agar aae to mar jaenge aap

Irtiza Nishat

MORE BYIrtiza Nishat

    raah meñ merī agar aa.e to mar jā.eñge aap

    kyā mujhe yuuñ nazar-andāz kar jā.eñge aap

    ek pal āsūdgī ek lamha ishq

    mujh se ham-āġhosh hote nikhar jā.eñge aap

    sat.h par mujh ko chhalakne na dāvat dījiye

    ek qatra bhī agar Tapkā to bhar jā.eñge aap

    ik adā ma.asūmiyat aur ek tohmat ma.asiyat

    kab talak bachte raheñge ham kidhar jā.eñge aap

    bad-shugūnī alāmat pesh-ḳhema maut

    dekhiye ham jaan de deñge agar jā.eñge aap

    qabr jaisī nā-pasandīda jagah bhī 'irtizā'

    dil kabhī hargiz na chāhegā magar jā.eñge aap

    rah mein meri agar aae to mar jaenge aap

    kya mujhe yun hi nazar-andaz kar jaenge aap

    ek pal aasudgi ka ek lamha ishq ka

    mujh se ham-aghosh hote hi nikhar jaenge aap

    sath par mujh ko chhalakne ki na dawat dijiye

    ek qatra bhi agar Tapka to bhar jaenge aap

    ek ada masumiyat aur ek tohmat masiyat

    kab talak bachte rahenge hum kidhar jaenge aap

    bad-shuguni ki alamat pesh-KHema maut ka

    dekhiye hum jaan de denge agar jaenge aap

    qabr jaisi na-pasandida jagah bhi 'irtiza'

    dil kabhi hargiz na chahega magar jaenge aap

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 555)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now