rahon mein hadse hain karamat le chalen
rāhoñ meñ hādse haiñ karāmāt le chaleñ
ghar se chaleñ to maañ kī du'ā saath le chaleñ
hosh-o-ḳhirad ke saa.e meñ manzil kise milī
chaliye junūn-e-shauq kī ḳhidmāt le chaleñ
jin meñ ġham-e-hayāt kā kuchh tazkira na ho
us shahr meñ mileñ to vo hālāt le chaleñ
jiddat kā ho safar ye munāsib to hai magar
aslāf kī bhī kuchh to rivāyāt le chaleñ
zād-e-safar yahī hai hamesha safar meñ saath
maazī ke tajraboñ kī hidāyāt le chaleñ
ik baar lauT aa.ī jo is bārgāh meñ
phir us kī bārgāh meñ vo baat le chaleñ
is shahr meñ rivāj-e-satā.ish nahīñ chalo
'ash.har' yahāñ se apne kamālāt le chaleñ
rahon mein hadse hain karamat le chalen
ghar se chalen to man ki du'a sath le chalen
hosh-o-KHirad ke sae mein manzil kise mili
chaliye junun-e-shauq ki KHidmat le chalen
jin mein gham-e-hayat ka kuchh tazkira na ho
us shahr mein milen to wo haalat le chalen
jiddat ka ho safar ye munasib to hai magar
aslaf ki bhi kuchh to riwayat le chalen
zad-e-safar yahi hai hamesha safar mein sath
mazi ke tajrabon ki hidayat le chalen
ek bar lauT aai jo is bargah mein
phir us ki bargah mein wo baat le chalen
is shahr mein riwaj-e-sataish nahin chalo
'ashhar' yahan se apne kamalat le chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.