rasta tabdil karne se raha
rāsta tabdīl karne se rahā
dil mirī tā'mīl karne se rahā
dekhne kī un ko 'ādat hai tujhe
apnī āñkheñ seal karne se rahā
rabt ke fuqdān par maiñ kam-numā
ġhaib kī tamsīl karne se rahā
raas aa.ī hoñ jise āzādiyāñ
jabr kī takmīl karne se rahā
tum ne jhuTlānā hai jhuTlā do magar
sach ko maiñ tahlīl karne se rahā
phūñk dam tā'vīz de murshid ki maiñ
dā.ere ko kiil karne se rahā
mat batā tū sabr ke mā'nī mujhe
maiñ anā kī Deal karne se rahā
paḌh mirā chehra ki tujh par bhī khule
aañkh to maiñ jhiil karne se rahā
rasta tabdil karne se raha
dil meri ta'mil karne se raha
dekhne ki un ko 'adat hai tujhe
apni aankhen seal karne se raha
rabt ke fuqdan par main kam-numa
ghaib ki tamsil karne se raha
ras aai hon jise aazadiyan
jabr ki takmil karne se raha
tum ne jhuTlana hai jhuTla do magar
sach ko main tahlil karne se raha
phunk dam ta'wiz de murshid ki main
daere ko kil karne se raha
mat bata tu sabr ke ma'ni mujhe
main ana ki Deal karne se raha
paDh mera chehra ki tujh par bhi khule
aankh to main jhil karne se raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.