aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna

Khalid Moin

raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna

Khalid Moin

MORE BYKhalid Moin

    raat apnā ik taqaddus hai so use pā.emāl mat karnā

    jab diye guftugū ke raushan hoñ lauTne savāl mat karnā

    mausam-e-yād koī jhoñkā, ab jo guzre tumhārī ḳhalvat se

    soch lenā hamāre baare meñ, par hamārā malāl mat karnā

    rat-jagoñ ruteñ to ḳhair yūñhī aatī jaatī haiñ, par ye dhyān rahe

    jāgnā bhī to is salīqe se, apnī āñkhoñ ko laal mat karnā

    ham se darvesh duniyā vāloñ se, bas isī baat par ulajhte haiñ

    vahshat-e-jism-o-jāñ baḌī shai hai ḳhud ko āsūda-hāl mat karnā

    dasht-e-ibrat-sarā meñ rahnā sar se saudā nikāl kar rakhnā

    log dushman kahīñ na ho jaa.eñ koī aisā kamāl mat karnā

    lamha-e-hijr apnī vus.at meñ, aap lazzat hai, zindagī bhar

    tum bhī 'ḳhālid-moīn' yuuñ karnā, umr sarf-e-visāl mat karnā

    raat ka apna ek taqaddus hai so use paemal mat karna

    jab diye guftugu ke raushan hon lauTne ka sawal mat karna

    mausam-e-yaad ka koi jhonka, ab jo guzre tumhaari KHalwat se

    soch lena hamare bare mein, par hamara malal mat karna

    rat-jagon ki ruten to KHair yunhi aati jati hain, par ye dhyan rahe

    jagna bhi to is saliqe se, apni aankhon ko lal mat karna

    hum se darwesh duniya walon se, bas isi baat par ulajhte hain

    wahshat-e-jism-o-jaan baDi shai hai KHud ko aasuda-haal mat karna

    dasht-e-ibrat-sara mein rahna tu sar se sauda nikal kar rakhna

    log dushman kahin na ho jaen koi aisa kamal mat karna

    lamha-e-hijr apni wusat mein, aap lazzat hai, zindagi bhar ki

    tum bhi 'KHalid-moin' yun karna, umr sarf-e-visal mat karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now