raat KHwab mein humne aur hi maza paya
raat ḳhvāb meñ ham ne aur hī maza paayā
us ko jā-ba-jā dekhā ḳhud ko jā-ba-jā paayā
kyā batā.ūñ kaisā ho dost ho to aisā ho
yaad nā kiyā us ne aur na maiñ bhulā paayā
maut se pare kyā hai sochtā are kyā hai
jī ke kaun vaañ pahuñchā mar ke kaun aa paayā
yuuñ to marne vaale ne kuchh nahīñ kahā lekin
us kī jeb se ham ne aap kā pata paayā
vaqt aane par 'alvī' ik ġhazal na kah paa.e
itne saal 'ġhālib' ko paḌh ke tum ne kyā paayā
raat KHwab mein hum ne aur hi maza paya
us ko ja-ba-ja dekha KHud ko ja-ba-ja paya
kya bataun kaisa ho dost ho to aisa ho
yaad na kiya us ne aur na main bhula paya
maut se pare kya hai sochta are kya hai
ji ke kaun wan pahuncha mar ke kaun aa paya
yun to marne wale ne kuchh nahin kaha lekin
us ki jeb se hum ne aap ka pata paya
waqt aane par 'alwi' ek ghazal na kah pae
itne sal 'ghaalib' ko paDh ke tum ne kya paya
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 123)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.