Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka

Kaleem Usmani

raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka

Kaleem Usmani

MORE BYKaleem Usmani

    raat zulfeñ bhīgī bhīgī aur aalam tanhā.ī

    kitne dard jagā detā hai ik jhoñkā purvā.ī

    uḌte lamhoñ ke dāman meñ terī yaad ḳhushbū hai

    pichhlī raat chāñd hai hai aks tirī añgḌā.ī

    kab se na jaane galiyoñ galiyoñ saa.e sūrat phirte haiñ

    kis se dil baat kareñ ham shahr hai us har jaa.ī

    ishq hamārī barbādī ko dil se duā.eñ detā hai

    ham se pahle itnā raushan naam na thā rusvā.ī

    sher hamāre sun kar aksar dil vaale ro dete haiñ

    ham bhī liye phirte haiñ dil meñ dard kisī shahnā.ī

    tum ho 'kalīm' ajab dīvāne baat anokhī karte ho

    chaah bhī armān hai dil meñ ḳhauf bhī hai rusvā.ī

    raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka

    kitne dard jaga deta hai ek jhonka purwai ka

    uDte lamhon ke daman mein teri yaad ki KHushbu hai

    pichhli raat ka chand hai ya hai aks teri angDai ka

    kab se na jaane galiyon galiyon sae ki surat phirte hain

    kis se dil ki baat karen hum shahr hai us har jai ka

    ishq hamari barbaadi ko dil se duaen deta hai

    hum se pahle itna raushan nam na tha ruswai ka

    sher hamare sun kar aksar dil wale ro dete hain

    hum bhi liye phirte hain dil mein dard kisi shahnai ka

    tum ho 'kalim' ajab diwane baat anokhi karte ho

    chah ka bhi arman hai dil mein KHauf bhi hai ruswai ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now