Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ko din kaha nahin jata

Ahmad Masood

raat ko din kaha nahin jata

Ahmad Masood

MORE BYAhmad Masood

    raat ko din kahā nahīñ jaatā

    yuuñ to suulī chaḌhā nahīñ jaatā

    log to chup haiñ zulm sah kar bhī

    mujh se kyoñ chup rahā nahīñ jaatā

    aaj to shahr meñ hai sannāTā

    kal ho kyā kuchh kahā nahīñ jaatā

    dhuup sar pe ho aur sahrā ho

    paañv nañge chalā nahīñ jaatā

    jaan har pal rahe hathelī par

    is tarah to jiyā nahīñ jaatā

    baḌh gayā kyā bisāt se us

    dil se ġham kyoñ sahā nahīñ jaatā

    jis ko milnā hai ḳhaak meñ 'mas.ūd'

    us ke aage jhukā nahīñ jaatā

    raat ko din kaha nahin jata

    yun to suli chaDha nahin jata

    log to chup hain zulm sah kar bhi

    mujh se kyon chup raha nahin jata

    aaj to shahr mein hai sannaTa

    kal ho kya kuchh kaha nahin jata

    dhup sar pe ho aur sahra ho

    panw nange chala nahin jata

    jaan har pal rahe hatheli par

    is tarah to jiya nahin jata

    baDh gaya kya bisat se us ki

    dil se gham kyon saha nahin jata

    jis ko milna hai KHak mein 'masud'

    us ke aage jhuka nahin jata

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 193)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now