Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai

Manmohan Talkh

raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    raat ko gahrī niiñd meñ aksar yuuñ mahsūs hotā hai

    mere kāran ghar meñ koī chupke-chupke rotā hai

    bāhar ko bāhar nahīñ samjhā ghar ko ghar nahīñ jaanā

    ham kyā jāneñ ghar bāhar se kaisā rishta hotā hai

    yūñhī kabhī ham fikr-e-suḳhan meñ jhapkī le lete haiñ

    jaise aadhī raat ga.e dariyā paanī sotā hai

    jaisī bhī terī bāteñ thiiñ dil Thahrā hai fankār

    kaise kaise motī chun kar kyā kyā haar pirotā hai

    ḳhaar nikāleñ paañv se ham aur aage aage pheñkte jaa.eñ

    phir kahte haiñ koī hamārī raah meñ kāñTe botā hai

    bastī bastī par kaisī chhāp hai ik anhonī

    kaun baḌā le ke bhañvar meñ apnī naav Dubotā hai

    sar meñ jab ākāsh samā.e tab sant koī kahlā.e

    jis ke man meñ bahe gangā vo jaltī ret pe sotā hai

    ik puurā ghar-bār hai terā jis rasiyā bhī hai

    phir ye ash'ār meñ kaise 'talḳh' akelā hotā hai

    raat ko gahri nind mein aksar yun mahsus sa hota hai

    mere karan ghar mein koi chupke-chupke rota hai

    bahar ko bahar nahin samjha ghar ko ghar hi nahin jaana

    hum kya jaanen ghar bahar se kaisa rishta hota hai

    yunhi kabhi hum fikr-e-suKHan mein jhapki si le lete hain

    jaise aadhi raat gae dariya ka pani sota hai

    jaisi bhi teri baaten thin dil hi Thahra hai fankar

    kaise kaise moti chun kar kya kya haar pirota hai

    KHar nikalen panw se hum aur aage aage phenkte jaen

    phir kahte hain koi hamari rah mein kanTe bota hai

    basti ki basti par kaisi chhap hai ek anhoni ki

    kaun baDa le ja ke bhanwar mein apni naw Dubota hai

    sar mein jab aakash samae tab hi sant koi kahlae

    jis ke man mein bahe ganga wo jalti ret pe sota hai

    ek pura ghar-bar hai tera jis ka tu rasiya bhi hai

    phir ye tu ash'ar mein kaise 'talKH' akela hota hai

    Source:

    Mahanama Tahrik Jild 26 (Pg. 438)

      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now