raat mein bhes badal kar nahin aane wala
raat meñ bhes badal kar nahīñ aane vaalā
shāyad aisā koī rahbar nahīñ aane vaalā
ḳhuun se apne charāġhoñ ko jalānā hai hameñ
chāñd dhartī pe utar kar nahīñ aane vaalā
paḌh ke dekhe koī tārīḳh abābīloñ kī
haq pe ġhālib koī lashkar nahīñ aane vaalā
ab yahāñ uḌte haiñ har samt shikārī panchhī
ab yahāñ koī kabūtar nahīñ aane vaalā
ham to hālāt ke ḳhāmosh tamāshā.ī haiñ
dil meñ jo kuchh hai zabāñ par nahīñ aane vaalā
merā paiġhām mohabbat tirā sheva nafrat
tū mire qad ke barābar nahīñ aane vaalā
dil se niklā hai baḌī saḳhtiyāñ sah kar aañsū
dekhnā lauT ke ab ghar nahīñ aane vaalā
us kī yādoñ ke ujāle hī bahut haiñ ham ko
jaane vaalā to palaT kar nahīñ aane vaalā
koī dariyā hī tirī pyaas bujhā.egā 'vasīm'
kaam tere ye samundar nahīñ aane vaalā
raat mein bhes badal kar nahin aane wala
shayad aisa koi rahbar nahin aane wala
KHun se apne charaghon ko jalana hai hamein
chand dharti pe utar kar nahin aane wala
paDh ke dekhe koi tariKH ababilon ki
haq pe ghaalib koi lashkar nahin aane wala
ab yahan uDte hain har samt shikari panchhi
ab yahan koi kabutar nahin aane wala
hum to haalat ke KHamosh tamashai hain
dil mein jo kuchh hai zaban par nahin aane wala
mera paigham mohabbat tera shewa nafrat
tu mere qad ke barabar nahin aane wala
dil se nikla hai baDi saKHtiyan sah kar aansu
dekhna lauT ke ab ghar nahin aane wala
us ki yaadon ke ujale hi bahut hain hum ko
jaane wala to palaT kar nahin aane wala
koi dariya hi teri pyas bujhaega 'wasim'
kaam tere ye samundar nahin aane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.