raat tanhai be-qarari hai
raat tanhā.ī be-qarārī hai
aur vahī zindagī hamārī hai
shab-zada chāñd gum hai bādal meñ
āsmāñ kahkashāñ se 'aarī hai
vahshat-e-dil se rā.egānī tak
ik udāsī kā raqs jaarī hai
ek ġham thā jo be-irāda thā
ab to jo hai vo iḳhtiyārī hai
aañkh jugnū sī jagmagātī thī
dekh ab kaisī ashk-bārī hai
aas hai saañs ke ukhaḌne tak
aaj kī raat ham pe bhārī hai
haiñ lahū-rang ḳhvāb tā'bīreñ
aañkh dar aañkh zaḳhm kaarī hai
ghar ko lauTe nahīñ jigar-goshe
aur maaoñ kī āh-o-zārī hai
peḌ vīrāñ haiñ chahchahāhaT se
ik udāsī chaman pe taarī hai
kaise mumkin ki niiñd aa.e 'ġhazal'
yaad aur yaad bhī tumhārī hai
raat tanhai be-qarari hai
aur wahi zindagi hamari hai
shab-zada chand gum hai baadal mein
aasman kahkashan se 'ari hai
wahshat-e-dil se raegani tak
ek udasi ka raqs jari hai
ek gham tha jo be-irada tha
ab to jo hai wo iKHtiyari hai
aankh jugnu si jagmagati thi
dekh ab kaisi ashk-bari hai
aas hai sans ke ukhaDne tak
aaj ki raat hum pe bhaari hai
hain lahu-rang KHwab ta'biren
aankh dar aankh zaKHm kari hai
ghar ko lauTe nahin jigar-goshe
aur maon ki aah-o-zari hai
peD viran hain chahchahahaT se
ek udasi chaman pe tari hai
kaise mumkin ki nind aae 'ghazal'
yaad aur yaad bhi tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.