Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raaz-e-dil kya zaban se nikla

Girami Chishti

raaz-e-dil kya zaban se nikla

Girami Chishti

MORE BYGirami Chishti

    rāz-e-dil kyā zabān se niklā

    ghar bhedī makān se niklā

    kyā milā hāl-e-dil bayāñ kar ke

    kyā natīja bayān se niklā

    ho gayā ham-kanār-e-manzil-e-shauq

    dil jo vahm-o-gumān se niklā

    raat ḳhalvat meñ chain se guzrī

    dil armān shaan se niklā

    aa gayā dil ḳhuun mizhgāñ par

    dur-e-shahvār kaan se niklā

    jab kahā maiñ ne aap ā.eñge

    yak-ba-yak haañ zabān se niklā

    hoñge donoñ jahāñ tah-o-bālā

    vo kabhī lā-makān se niklā

    vo ye kahte haiñ khīñch leñge zabāñ

    harf koī zabān se niklā

    aah yuuñ dil se shām-e-ġham niklī

    tiir jaise kamān se niklā

    lab khule rah ga.e sar-e-mahfil

    kyā kahā kyā zabān se niklā

    muft meñ ai 'girāmī' ḳhvār hue

    kaam kyā pāsbān se niklā

    raaz-e-dil kya zaban se nikla

    ghar ka bhedi makan se nikla

    kya mila haal-e-dil bayan kar ke

    kya natija bayan se nikla

    ho gaya ham-kanar-e-manzil-e-shauq

    dil jo wahm-o-guman se nikla

    raat KHalwat mein chain se guzri

    dil ka arman shan se nikla

    aa gaya dil ka KHun mizhgan par

    dur-e-shahwar kan se nikla

    jab kaha main ne aap aaenge

    yak-ba-yak han zaban se nikla

    honge donon jahan tah-o-baala

    wo kabhi la-makan se nikla

    wo ye kahte hain khinch lenge zaban

    harf koi zaban se nikla

    aah yun dil se sham-e-gham nikli

    tir jaise kaman se nikla

    lab khule rah gae sar-e-mahfil

    kya kaha kya zaban se nikla

    muft mein ai 'girami' KHwar hue

    kaam kya pasban se nikla

    Source:

    Nuqoosh-e-Girami (Pg. 64)

    • Author: Girami Chishti
      • Publisher: Bazm-e-Girami Khandwa
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now