Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rafaqaton ka bharam toD jaane wala nahin

Akram Jazib

rafaqaton ka bharam toD jaane wala nahin

Akram Jazib

MORE BYAkram Jazib

    rafāqatoñ bharam toḌ jaane vaalā nahīñ

    muqāble meñ agar aayā tar-nivāla nahīñ

    paḌī huī hai nasab qais se milāne

    kisī ne dasht mukammal magar khañgālā nahīñ

    yahāñ buland sadā.eñ lagā ġhubār uḌā

    dayār-e-ishq hai tahzīb havāla nahīñ

    hamāre ahd ke suqrāt maslahat-bīñ haiñ

    kisī ke haath meñ bhī zahr pyālā nahīñ

    safar meñ rahne se is ko qarār rahtā hai

    ye zaḳhm dil hai paañv koī chhālā nahīñ

    havā ke haath lagī ḳhushbūoñ zarā sun lo

    sambhāle kaun agar phuul ne sambhālā nahīñ

    ye jis ne rizq tañgī pe ḳhud-kushī kar

    kahīñ samāj ne mil kar to maar Daalā nahīñ

    kareñge yūñhī sadā intizār sāhil par

    guhar tahoñ se samundar ne jo uchhālā nahīñ

    ye ehtiyāt pasandī kahāñ se aa.ī hai

    agar zabāñ pe koī maslahat taalā nahīñ

    kahāniyāñ na tarāsheñ ḳhayālī duniyā

    kahāñ jahān meñ tafrīq past-o-bālā nahīñ

    ijāra-dāriyāñ qaa.em haiñ kis liye 'jāzib'

    koī havāla agar mo'atabar havāla nahīñ

    rafaqaton ka bharam toD jaane wala nahin

    muqable mein agar aaya tar-niwala nahin

    paDi hui hai nasab qais se milane ki

    kisi ne dasht mukammal magar khangala nahin

    yahan buland sadaen laga ghubar uDa

    dayar-e-ishq hai tahzib ka hawala nahin

    hamare ahd ke suqraat maslahat-bin hain

    kisi ke hath mein bhi zahr ka pyala nahin

    safar mein rahne se is ko qarar rahta hai

    ye zaKHm dil ka hai panw ka koi chhaala nahin

    hawa ke hath lagi KHushbuon zara sun lo

    sambhaale kaun agar phul ne sambhaala nahin

    ye jis ne rizq ki tangi pe KHud-kushi kar li

    kahin samaj ne mil kar to mar Dala nahin

    karenge yunhi sada intizar sahil par

    guhar tahon se samundar ne jo uchhaala nahin

    ye ehtiyat pasandi kahan se aai hai

    agar zaban pe koi maslahat ka tala nahin

    kahaniyan na tarashen KHayali duniya ki

    kahan jahan mein tafriq past-o-baala nahin

    ijara-dariyan qaem hain kis liye 'jazib'

    koi hawala agar mo'atabar hawala nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now