Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rafta-ba-rafta khul gae jitne kamal the

Abid Maroof Mughal

rafta-ba-rafta khul gae jitne kamal the

Abid Maroof Mughal

MORE BYAbid Maroof Mughal

    rafta-ba-rafta khul ga.e jitne kamāl the

    us ke kahe hue sabhī jumle kamāl the

    us umr nasha thā sharāboñ se bhī sivā

    dekhe the un dinoñ jo vo sapne kamāl the

    karte the kis qadar vo buzurgoñ ehtirām

    kitne hamāre daur ke bachche kamāl the

    go husn maañd kar rahe the shahr magar

    dīvār par bane hue naqshe kamāl the

    izzat se pesh aate the har ajnabī ke saath

    is shahr ke makīn bhī kitne kamāl the

    ushshāq-e-hijr-zād ne mahbūb ke liye

    likkhe fasīl-e-shahr pe jumle kamāl the

    har shaḳhs ho chukā thā asiir us ke husn

    is husn-e-be-misāl ke jalve kamāl the

    ik dūsre ko mārnā phir rūThnā bahut

    vo bachpane ke jhagḌe bhī kitne kamāl the

    merā to koī sher kisī kaam nahīñ

    us ne the jo sunā.e vo naġhme kamāl the

    rafta-ba-rafta khul gae jitne kamal the

    us ke kahe hue sabhi jumle kamal the

    us umr ka nasha tha sharabon se bhi siwa

    dekhe the un dinon jo wo sapne kamal the

    karte the kis qadar wo buzurgon ka ehtiram

    kitne hamare daur ke bachche kamal the

    go husn mand kar rahe the shahr ka magar

    diwar par bane hue naqshe kamal the

    izzat se pesh aate the har ajnabi ke sath

    is shahr ke makin bhi kitne kamal the

    ushshaq-e-hijr-zad ne mahbub ke liye

    likkhe fasil-e-shahr pe jumle kamal the

    har shaKHs ho chuka tha asir us ke husn ka

    is husn-e-be-misal ke jalwe kamal the

    ek dusre ko marna phir ruThna bahut

    wo bachpane ke jhagDe bhi kitne kamal the

    mera to koi sher kisi kaam ka nahin

    us ne the jo sunae wo naghme kamal the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now