aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rafta rafta lag chuke the hum bhi diwaron ke sath

Zafar Iqbal

rafta rafta lag chuke the hum bhi diwaron ke sath

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    rafta rafta lag chuke the ham bhī dīvāroñ ke saath

    hashr apnā bhī yahī thā ham bhī the sāroñ ke saath

    ek halchal machī rahtī hai dil meñ har ghaḌī

    saath haiñ pyāre hamāre ham nahīñ pyāroñ ke saath

    lag ga.ī thī maut apnī bhī chhoTī ḳhabar

    āḳhir apnā bhī ta.alluq thā in aḳhbāroñ ke saath

    aa rahī hai un ḳhū apne andar bhī kahīñ

    haiñ re.āyā magar rahte haiñ sardāroñ ke saath

    farz kuchh pagḌī bachānā bhī hai lekin ek din

    dekhnā sar bhī chale ā.eñge dastāroñ ke saath

    duur se to farq koī nazar aatā nahīñ

    is tarah rul mil ga.e haiñ phuul añgāroñ ke saath

    ho ga.ī hai shakl tabdīl darbāroñ ab

    varna ham bhī kam nahīñ vābasta darbāroñ ke saath

    paḌ ga.e the rā.egāñ pahchān ke chakkar meñ ham

    apnī marzī se jo ham uḌte nahīñ Dāroñ ke saath

    be-ta.alluq bhī hai vo ham ne bhī hai ab tak 'zafar'

    rābta joḌā huā TuuTe hue tāroñ ke saath

    rafta rafta lag chuke the hum bhi diwaron ke sath

    hashr apna bhi yahi tha hum bhi the saron ke sath

    ek halchal si machi rahti hai dil mein har ghaDi

    sath hain pyare hamare hum nahin pyaron ke sath

    lag gai thi maut ki apni bhi chhoTi si KHabar

    aaKHir apna bhi talluq tha in aKHbaron ke sath

    aa rahi hai un ki KHu bu apne andar bhi kahin

    hain reaya hi magar rahte hain sardaron ke sath

    farz kuchh pagDi bachana bhi hai lekin ek din

    dekhna sar bhi chale aaenge dastaron ke sath

    dur se to farq hi koi nazar aata nahin

    is tarah rul mil gae hain phul angaron ke sath

    ho gai hai shakl hi tabdil darbaron ki ab

    warna hum bhi kam nahin wabasta darbaron ke sath

    paD gae the raegan pahchan ke chakkar mein hum

    apni marzi se jo hum uDte nahin Daron ke sath

    be-talluq bhi hai wo hum ne bhi hai ab tak 'zafar'

    rabta joDa hua TuTe hue taron ke sath

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now