raftar ne bismil kiya guftar ne mara
raftār ne bismil kiyā guftār ne maarā
maarā mujhe ik shoḳh-e-sitam-kār ne maarā
uf kar ke jigar thaam liyā zauq-e-nazar ne
vo tiir sā dil par nigah-e-yār ne maarā
ik shakl se iqrār thā ik shakl se inkār
kāfir ke is iqrār-dar-iqrār ne maarā
ye nargis-e-ḳhvābīda hai qātil mere haq meñ
is so.e hue fitna-e-bedār ne maarā
āġhosh-e-fanā se mujhe begāna hī rakkhā
mohtāj-e-ajal kar ke ġham-e-yār ne maarā
ik ḳhanjar-e-poshīda-o-paidā the ye donoñ
iqrār ne maarā kabhī inkār ne maarā
vo pūchhte haiñ mujh se ki maarā tujhe kis ne
ab un se kahe kaun ki sarkār ne maarā
ai nang-e-ġham-e-‘ishq tujhe sharm nahīñ hai
kis muñh se tū kahtā hai ġham-e-yār ne maarā
taufīq-e-mohabbat kā ye anjām bhī dekhā
dil ne mujhe aur dil ko tire pyaar ne maarā
hamdardī-e-hamdam bhī gavāra nahīñ hotī
mujh ko to 'junūñ' is dil-e-ḳhuddār ne maarā
raftar ne bismil kiya guftar ne mara
mara mujhe ek shoKH-e-sitam-kar ne mara
uf kar ke jigar tham liya zauq-e-nazar ne
wo tir sa dil par nigah-e-yar ne mara
ek shakl se iqrar tha ek shakl se inkar
kafir ke is iqrar-dar-iqrar ne mara
ye nargis-e-KHwabida hai qatil mere haq mein
is soe hue fitna-e-bedar ne mara
aaghosh-e-fana se mujhe begana hi rakkha
mohtaj-e-ajal kar ke gham-e-yar ne mara
ek KHanjar-e-poshida-o-paida the ye donon
iqrar ne mara kabhi inkar ne mara
wo puchhte hain mujh se ki mara tujhe kis ne
ab un se kahe kaun ki sarkar ne mara
ai nang-e-gham-e-‘ishq tujhe sharm nahin hai
kis munh se tu kahta hai gham-e-yar ne mara
taufiq-e-mohabbat ka ye anjam bhi dekha
dil ne mujhe aur dil ko tere pyar ne mara
hamdardi-e-hamdam bhi gawara nahin hoti
mujh ko to 'junun' is dil-e-KHuddar ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.