Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rag-o-pai mein bhara hai mere shor uski mohabbat ka

Asad Ali Khan Qalaq

rag-o-pai mein bhara hai mere shor uski mohabbat ka

Asad Ali Khan Qalaq

MORE BYAsad Ali Khan Qalaq

    rag-o-pai meñ bharā hai mere shor us mohabbat

    namak-parvar vo huuñ maiñ yaar ke husn-o-malāhat

    banāne se mire bigḌā ye rañg un tabī.at

    mujhī se hai parī-zādoñ ko da.ave ādamiyat

    ḳharīdārī-e-jins-e-husn par raġhbat dilātā hai

    banā hai shauq-e-dil dallāl bāzār-e-mohabbat

    sadā-e-āh hai mizrāb-e-ġham chheḌ se paidā

    dil-e-nālāñ nayā parda hai qānūn-e-mohabbat

    jo vaqt-e-qatl us ke la.al-e-shīrīñ paḌā partav

    pilāyā āb-e-teġh-e-yār ne sharbat shahādat

    huā ye dil na jab merā to phir kyā aur hogā

    bharosa kījiyo tum bhī na aise be-muravvat

    zamāne ko to mere vāste in sab ne chhoḌā hai

    na huuñ kis tarah maiñ mamnūn dard-o-ranj-o-mehnat

    abas āsūdgān-e-ḳhāk ko bad-ḳhvāb karte ho

    abhī se kyuuñ machā rakkhā hai hañgāma qayāmat

    za.īfī meñ bashar lahv-o-la.ab ko tark karte haiñ

    safedī mū-e-sar nuur hai kyā chashm-e-ibrat

    bahār-e-bāġh-e-ālam be-sabāt aisī hai ai bulbul

    gumāñ hai ḳhanda-e-gul par sadā-e-kūs-e-rehlat

    dabistān-e-azal meñ ūstād-e-ishq ne mujh ko

    sabaq pahle diyā thā abjad-e-vāb-e-mohabbat

    sadā yaañ hillat-e-bint-e-anab aqd jaarī hai

    tarīqa hai nirālā pīr-e-mai-kash tarīqat

    jo paayā muġhbachoñ meñ tarz-e-e.ajāz-e-masīhā.ī

    huā zāhid bhī qaa.il pīr-e-mai-kash karāmat

    subūt-e-jurm ulfat kar ke maarā us ke saude ne

    tirī zulf-e-rasā darrah banī shar.a-e-mohabbat

    na dekhā muḌ ke bhī phir ahd-e-pīrī meñ javānī ne

    abas mazkūr karte ho tum aise be-muravvat

    vo bekas huuñ sivā.e shabnam-e-giryāñ pas-e-murdan

    diyā rone meñ kis ne saath merī sham-e-turbat

    ġhubār-e-kīna-o-buġhz-o-hasad se paak hai ye dil

    hamāre aa.ine ne muñh nahīñ dekhā kudūrat

    kareñ kyā riñd mashrab iḳhtiyār ik maz.hab ai vaa.iz

    nahīñ dil toḌnā manzūr haftād-o-do-millat

    'qalaq' har vaqt ab hai sāmnā taklīf-e-pīrī

    javānī luuT kar sab le ga.ī asbāb rāhat

    rag-o-pai mein bhara hai mere shor us ki mohabbat ka

    namak-parwar wo hun main yar ke husn-o-malahat ka

    banane se mere bigDa ye rang un ki tabiat ka

    mujhi se hai pari-zadon ko dawe aadamiyat ka

    KHaridari-e-jins-e-husn par raghbat dilata hai

    bana hai shauq-e-dil dallal bazar-e-mohabbat ka

    sada-e-ah hai mizrab-e-gham ki chheD se paida

    dil-e-nalan naya parda hai qanun-e-mohabbat ka

    jo waqt-e-qatl us ke lal-e-shirin ka paDa partaw

    pilaya aab-e-tegh-e-yar ne sharbat shahadat ka

    hua ye dil na jab mera to phir kya aur ka hoga

    bharosa kijiyo tum bhi na aise be-murawwat ka

    zamane ko to mere waste in sab ne chhoDa hai

    na hun kis tarah main mamnun dard-o-ranj-o-mehnat ka

    abas aasudgan-e-KHak ko bad-KHwab karte ho

    abhi se kyun macha rakkha hai hangama qayamat ka

    zaifi mein bashar lahw-o-lab ko tark karte hain

    safedi mu-e-sar ki nur hai kya chashm-e-ibrat ka

    bahaar-e-bagh-e-alam be-sabaat aisi hai ai bulbul

    guman hai KHanda-e-gul par sada-e-kus-e-rehlat ka

    dabistan-e-azal mein ustad-e-ishq ne mujh ko

    sabaq pahle diya tha abjad-e-wab-e-mohabbat ka

    sada yan hillat-e-bint-e-anab ki aqd jari hai

    tariqa hai nirala pir-e-mai-kash ki tariqat ka

    jo paya mughbachon mein tarz-e-eajaz-e-masihai

    hua zahid bhi qail pir-e-mai-kash ki karamat ka

    subut-e-jurm ulfat kar ke mara us ke saude ne

    teri zulf-e-rasa darrah bani shara-e-mohabbat ka

    na dekha muD ke bhi phir ahd-e-piri mein jawani ne

    abas mazkur karte ho tum aise be-murawwat ka

    wo bekas hun siwae shabnam-e-giryan pas-e-murdan

    diya rone mein kis ne sath meri sham-e-turbat ka

    ghubar-e-kina-o-bughz-o-hasad se pak hai ye dil

    hamare aaine ne munh nahin dekha kudurat ka

    karen kya rind mashrab iKHtiyar ek mazhab ai waiz

    nahin dil toDna manzur haftad-o-do-millat ka

    'qalaq' har waqt ab hai samna taklif-e-piri ka

    jawani luT kar sab le gai asbab rahat ka

    Source:

    Mazhar-e-Ishq (Pg. e-16 p-14)

    • Author: Asad Ali Khan Qalaq
      • Edition: 1911
      • Publisher: Munshi Naval Kishor, Kanpur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now