ragon ka KHun suKHan mein nichoD kar rakh dun
ragoñ kā ḳhuun suḳhan meñ nichoḌ kar rakh duuñ
bisāt-e-‘ijz pe kyā chāhiye ye sar rakh duuñ
ḳhudā-e-'ishq kī zau-reziyāñ tamām huiiñ
ma.āl-e-kār-e-hunar ye hai ab hunar rakh duuñ
kisī kī yaad meñ āñkhoñ se nuur bahtā ho
kisī kī yaad meñ āñkhoñ ko reg par rakh duuñ
agar kaho to sar-e-‘ishq maiñ rahūñ mad.hosh
agar kaho to yahīñ saare karr-o-far rakh duuñ
pa.e-adab ye qadam-bos hone lagtā hai
furāt-e-ram meñ qadam bhī kahīñ agar rakh duuñ
kisī kī yaad kī hurmat se bach nikaltā hai
ḳhayāl aatā hai siine ko chiir kar rakh duuñ
ragon ka KHun suKHan mein nichoD kar rakh dun
bisat-e-‘ijz pe kya chahiye ye sar rakh dun
KHuda-e-'ishq ki zau-reziyan tamam huin
maal-e-kar-e-hunar ye hai ab hunar rakh dun
kisi ki yaad mein aankhon se nur bahta ho
kisi ki yaad mein aankhon ko reg par rakh dun
agar kaho to sar-e-‘ishq main rahun madhosh
agar kaho to yahin sare karr-o-far rakh dun
pae-adab ye qadam-bos hone lagta hai
furaat-e-ram mein qadam bhi kahin agar rakh dun
kisi ki yaad ki hurmat se bach nikalta hai
KHayal aata hai sine ko chir kar rakh dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.